Ameen

Ameen

Thursday 17 November 2011

Daur e Hazir kay Fitnay
A very good book “Daur e Hazir kay Fitnay” that I have already referred to some of the friends. Please download from following links and get some time to read it. It really helps in understanding the circumstances that we are facing in our daily life and let us understand our shortcomings and mistakes.

http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir Kay Fitnay (Fitna kiya hay)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Gunah)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Aulaad)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Aurat)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Maal)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Bidat)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Kufar ka Ghalba)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Kufar ki Taraqqi)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Kuffaar say Dosti)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Museebat)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Khush haali)
http://www.fahmedeen.org/new/book.php?link=Daur e Hazir KayFitnay (Fitnon say Bachao)


Please do also try to check other very useful books available on http://www.fahmedeen.org

Saturday 5 November 2011

Sunahray Asool

A guidance for all the Muslims from Hazrat Muhammad Mustafa (Peace be upon him)
Please check the attached image, I am also writing the same in Roman here:
Update: added a new better quality image, Thanks for Nabeel bhai for sharing it.
Aik Baddu Nabi Kareem (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) kay darbar main hazir hua aur arz ki kay Ya Rasool Allah (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) main App (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) say kuch pochna chahta hoon. Darbaray Risalat main is waqt Hazarat Khalid bin Walid (Radi Allah hu tala anhu) bhi mojood thay. Unhon nay ya Hadeesay mubarak likh kar apnay pass rakh li. is ki hesiat zindagi k Nisbul Ain ki hay. Allah Tala hamay amal ki tufeeq ata farmay (Ameen).
 ·        Baddu nay Arz kia: Ya Rasool Allah (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) main ameer (Ghani) bana chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Qanaat ikhtayar karo, ameer bun jao gaay.
·        Baddu nay arz kia: Sab say bara Alim bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Taqwa ikhtyar karo, Alim bun jaao gay.
·        Baddu nay arz kia: Acha admi bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Loggon ko nafa pohanchao
·        Baddu nay arz kia: Adil bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Jissay apnay lia acha samjhtay ho dosron k lia pasand karo.
·        Baddu nay arz kia: Taqatwar bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Allah par tawakal karo.
·        Baddu nay arz kia: Allah ta-aala k darbar main khas darja chahta hoon
App (S.A.W.W) nay farmaya: Kasrat say Zikar karo.
·        Baddu nay arz kia: Rizq ki kashadgi chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Hamesha ba-wazo raho.
·        Baddu nay arz kia: Dua-on ki qaboliat chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Haram na khao.
·        Baddu nay arz kia: Eeman ki takmeel chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Ikhlaq achay kar lo.
·        Baddu nay arz kia: Qiyamat k roz Allah ta-aala say gunahoon say pak ho kar milna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Jinnabat k bad foran Ghusal kia karo.
·        Baddu nay arz kia: Gunahoon ki kami chahta hoon ?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Kasrat say Istaghfar kia karo.
·        Baddu nay arz kia: Qayamat k roz noor main uthna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Zulm karna chor do.
·        Baddu nay arz kia: Main chahta hoon k Allah ta-aala mujh par raham farmay?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Logon ki parda poshi karo.
·        Baddu nay arz kia: Ruswai say bachna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Zana say bacho.
·        Baddu nay arz kia: Allah or Allah k Rasool (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) ka mahboob bun jaoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Ju Allah or Us kay Rasool (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) ko mahboob ho, usay mahboob bana lo.
·        Baddu nay arz kia: Allah ka farmanbardar bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Faraiz ka ahtimam karo.
·        Baddu nay arz kia: Ahsaan karnay wala bunna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Allah ta-aala ki youn bundagi karo jaisay tum Usay dekh rahay ho warna Wo tumhay dekh raha hay.
·        Baddu nay arz kia: Ya Rassol Allah (Sallalahu alaihay waalayhi wasalam) kia cheze gunahoon say muafi dilaay gi?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Aansoo, Ajizi or bimari.
·        Baddu nay arz kia: Kia cheze dozakh ki aag thandi karay gi?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Dunya ki musibaton par sabar.
·        Baddu nay arz kia: Allah ta-aala k gussay ko kia cheze sard karti hay?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Chupkay chupkay sadqa or silah rahmi.
·        Baddu nay arz kia: Sab say bari burai kia hay ?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Bad Ikhlaqi or bukhal.
·        Baddu nay arz kia: Sab say bari achai kia hay?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Achay ikhlaq, tawazay, sabar.
·        Baddu nay arz kia: Allah ta-aala k ghusay say bachna chahta hoon?
App (S.A.W.W) nay farmaya: Logon par ghusa karna chor do.
Reference: Monthly digest by http://www.Fahmedeen.org